Pyar kar ke dekho
Aao pyar kar ke dekho,kisi ajnabi se kisi mahjabeen se
Ikrar kar ke to dekho,aao pyar kar ke dekho
Log kehte hain pyar se dur raho
Isme ruswai hai,judai hai
Phir bhi yeh kya cheej hai
Kar ke to dekho,kisi par mar ke to dekho
Hazar jaane gayi is pyar ke karan
Par yeh kya?pyar ka wajood to phir bhi hai
Yeh marta nahi,yeh ghulta nahi paani main
Sharir mar jaate hain,aatma jinda rehti hai
Logo ne kaha "yeh aag ka dariya hai
aur doob kar jana hai"
Phir bhi kya fitrat hai is pyar ki
Ki deewane mar kar bhi jinda hue jaate hain
Kisi ki zulfon main,kisi ki payal main,
Kisi ke kangan main,kisi ki baahon main
Karo karo pyar karo,
Pyar hai to duniya aabaad hai,jinda hai
Pyar ke bina duniya veeran hai,shamshan hai
Kya hua jo mushkile aayein to
Kya hua gar sir kat jayein to
Hum mitti main mil jaayein to
Is jazbe ko kayam rakhna hai
Humein to sirf o sirf pyar karna hai
Aao pyar karein.